
Web Development Kya Hai?
Aaj har business apni website chahta hai, lekin us website ko banane ka process Web Development kehlata hai. Ye sirf design tak limited nahi hota, balki website ke backend, functions aur performance tak ka pura kaam isme shamil hota hai.
Web Development kya hoti hai?
Web Development ka matlab hai ek fully functional website create karna jo user ke liye fast, secure aur responsive ho. Isme coding languages jaise HTML, CSS, JavaScript, PHP, aur Python ka use hota hai.
Web Development ke main parts:
1. Front-End: Website ka wo part jo user dekhta hai — layout, colors, buttons aur menus.
2. Back-End: Website ka hidden system jahan data aur functions manage hote hain.
3. Database: Jahan website ka sara data store hota hai, jaise user info, posts, ya products.
Importance: Ek achhi developed website fast load hoti hai, secure hoti hai aur user experience behtareen banati hai. Web Development hi wo foundation hai jisse koi bhi online business mazboot banta hai.
Agar aap professional website banana chahte ho, to Web Development samajhna aur use sahi tarah se apply karna sabse zaroori hai.