
Badshahi Masjid Lahore ka sabse mashhoor aur khoobsurat naqsha hai, jo Mughal badshah Aurangzeb Alamgir ne 1673 mein banwai. Is masjid ki shandar tameer us daur ki azmat aur islami fun-e-tamirat ka behtareen nishan hai.
Is masjid mein ek waqt mein 50 hazaar log namaz ada kar sakte hain. Laal pathar aur safed sang-e-marmar se banayi gayi yeh masjid Mughal fun ka azeem shahkaar hai.
Badshahi Masjid sirf ibadatgah nahi, balkay Lahore ki pehchan aur Pakistan ka fakhar bhi hai. Rozana hazaron log yahan aate hain β koi ibadat ke liye, koi is ke husn aur sakoon mehsoos karne ke liye.
π Badshahi Masjid β Lahore Ki Pehchan